dīvāroñ par giilī rekhā.eñ rotī haiñ
tīnoñ par ghuñghrū kī būñdeñ naach rahī haiñ
pairoñ meñ makḌī ne jaalā taan rakhā hai
par phailā kar chiḌiyāñ kāñdhe par baiThī haiñ
Dol rahe haiñ āñkhoñ meñ patthar ke saa.e
shiryānoñ meñ bahtī nadiyāñ suukh chukī haiñ
dar par vīrānī kā parda jhuul rahā hai
khūñTī se tanhā.ī kī beleñ laTkī haiñ
mujh se mat bolo maiñ aaj bharā baiThā huuñ
cigarette ke donoñ paikeT bilkul ḳhālī haiñ
dushman kyuuñ zahmat farmā.eñ merī ḳhātir
ḳhud ko muḳhlis kahne vaale hī kaafī haiñ
bachpan meñ ākāsh ko chhūtā sā lagtā thā
is pīpal kī shāḳheñ ab kitnī nīchī haiñ
zaḳhmoñ kī chhalnī meñ un ko chhān rahā huuñ
kirneñ apne saath añdhere bhī laa.ī haiñ
chaliye sāhab aur koī darvāza dekheñ
aaj 'muzaffar' kī bāteñ bahkī bahkī haiñ