Nushur Wahidi

kitna ajib-tar hai ye rabt-e-zindagani

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
kitnā ajīb-tar hai ye rabt-e-zindagānī
hastī tamām shola aalam tamām paanī
jalve yahī raheñge nazreñ yahī raheñgī
baaqī hai aur rahegā ye irtibāt-e-fānī
hai ik zabān-e-ulfat har paikar-e-mohabbat
aañsū bhī tarjumānī gesū bhī tarjumānī
ik lamha-e-tabassum vo lamha-e-nazar hai
jis par koī luTā de ik umr-e-jāvedānī
phūloñ ko taulnā hai kāñToñ se khelnā hai
dil kī nazākatoñ meñ un kī mizāj-dānī
ġham zindagī hai lekin shā.er 'nushūr' terā
naġhmoñ se kheltā hai jab tak hai zindagānī
Top Urdushayar.com