Muzaffar Hanfi

is khurduri ghazal ko na yun munh bana ke dekh

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
is khurdurī ġhazal ko na yuuñ muñh banā ke dekh
kis haal meñ likhī hai mire paas aa ke dekh
vo din havā hue ki bichhāte the jaan o dil
ab ek baar aur hameñ muskurā ke dekh
parda paḌā huā hai tabassum ke raaz par
phūloñ se os aañkh se aañsū girā ke dekh
ye dopahar bhī aa.ī hai parchhā.iyoñ ke saath
vaise nazar na aa.eñ to mash.al jalā ke dekh
gulchīñ ne jab tamām shagūfoñ ko chun liyā
kāñTe pukār uThe ki hameñ aazmā ke dekh
tū merā ham-safar hai to phir mere saath chal
hai rāhzan to naqsh-e-qadam rahnumā ke dekh
apnī nazar se dekh barahna hayāt ko
ā.ankhoñ se ye kitāb kī ainak haTā ke dekh
az-rāh-e-ehtiyāt safar ko na ḳhatm kar
ye phuul haiñ ki aag qadam to jamā ke dekh
Thappa lagā huā hai 'muzaffar' ke naam kā
us kā koī bhī sher kahīñ se uThā ke dekh
Top Urdushayar.com