Muzaffar Hanfi

bane hue hain fasil-e-nazar dar-o-diwar

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
bane hue haiñ fasīl-e-nazar dar-o-dīvār
har ik taraf dar-o-dīvār par dar-o-dīvār
mujhe bhī dar-ba-darī meñ hī lutf aatā hai
mirī balā se farāham na kar dar-o-dīvār
hamāre ghar meñ to mīnār ban ga.ī har iiñT
chhatoñ kī had meñ uThāte haiñ sar dar-o-dīvār
ghaTā kā kyā hai baras kar nikal ga.ī aage
yahāñ sisakte rahe raat bhar dar-o-dīvār
hamāre raaz meñ shāmil rahe paḌosī bhī
isī liye to haiñ dīvār-o-dar dar-o-dīvār
ḳhabar na phailne paa.e ki jā rahā hai koī
nahīñ to sar pe uThā leñge ghar dar-o-dīvār
tirā badan to salāmat hai ai 'muzaffar' phir
ye kis ke ḳhuun se haiñ tar-ba-tar dar-o-dīvār
Top Urdushayar.com