Muzaffar Hanfi

KHud mujhko bhi malum nahin hai ki main kya hun

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
ḳhud mujh ko bhī ma.alūm nahīñ hai ki maiñ kyā huuñ
ab tak to ḳhud apnī hī nigāhoñ se chhupā huuñ
hālāt ke narġhe meñ kuchh is tarah ghirā huuñ
mahsūs ye hotā hai tujhe bhuul chukā huuñ
samjhā thā ki rūdād na.e daur kī hogī
aayā hai tirā naam to maiñ chauñk uThā huuñ
shāyad kabhī bachpan meñ kahīñ saath rahā hai
aa.ine meñ ik shakl ko pahchān rahā huuñ
zulfoñ ke mahakte hue saa.e kī talab meñ
taptī huī rāhoñ pe bahut duur gayā huuñ
mahjūb sā tanhā.ī kā ehsās khaḌā hai
bistar pe baḌī der se ḳhāmosh paḌā huuñ
ab sochne baiThā huuñ ki masraf mirā kyā hai
majbūr-e-mohabbat huuñ na pāband-e-vafā huuñ
suniye to 'muzaffar' kā har ik sher kahegā
maiñ TuuTe hue saaz kī bechain sadā huuñ
Top Urdushayar.com