Muzaffar Hanfi

tufan-e-bala se jo main bach kar guzar aaya

Muzaffar Hanfi

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1936
tūfān-e-balā se jo maiñ bach kar guzar aayā
vo pūchh ke sahrā se pata mere ghar aayā
āġhāz-e-tamannā ho ki anjām-e-tamannā
ilzām bahr-e-hāl hamāre hī sar aayā
is meñ to koī dil kī ḳhatā ho nahīñ saktī
jab aañkh lagī aap kā chehra nazar aayā
bastī meñ mirī kaj-kalhī jurm huī hai
dekhūñgā agar ab koī patthar idhar aayā
aayā tirī mahfil meñ jo bhūle se mirā naam
ā.ankhoñ meñ zamāne kī vahīñ ḳhuun utar aayā
aisā bhī kahīñ tark-e-ta.alluq meñ huā hai
naama koī aayā na koī nāma-bar aayā
fan hai vo samundar ki kināra nahīñ jis kā
Duubā huuñ 'muzaffar' to mirā naam ubhar aayā
Top Urdushayar.com