farq nahīñ paḌtā ham dīvānoñ ke ghar meñ hone se
vīrānī umDī paḌtī hai ghar ke kone kone se
apnī is kam-zarfī kā ehsās kahāñ le jā.ūñ maiñ
sun rakkhā thā uljhan kuchh kam ho jaatī hai rone se
bād-az-vaqt pashīmāñ ho kar zaḳhm nahīñ bhar sakte tum
dāman ke dhabbe albatta miT sakte haiñ dhone se
kāñTe bone vaale sach-much tū bhī kitnā bholā hai
jaise raahī ruk jā.eñge tere kāñTe bone se
mere tīkhe sher kī qīmat dukhtī rag par kaarī choT
chiknī chupḌī ġhazleñ be-shak aap ḳharīdeñ sone se
āñkhoñ meñ ye raat kaTe to Thiik 'muzaffar' hanafī jī
rahzan jhunjhlāyā baiThā hai ik manzil sar hone se