Nushur Wahidi

haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
haqīqat jis jagah hotī hai tābānī batātī hai
koī parde meñ hotā hai to chilman jagmagātī hai
vo aa.e bhī nahīñ aur zindagī kī raat jaatī hai
sahar hotī hai aur sham-e-tamannā jhilmilātī hai
sitāroñ kā sahārā le ke dhartī baiTh jaatī hai
falak ko dekh kar jis dam ġharībī muskurātī hai
maiñ dāman thāmtā huuñ aur adā dāman chhuḌātī hai
mohabbat hai to kuchh be-gāngī bhī paa.ī jaatī hai
mirī nākāmi-e-ġham zauq-e-hairānī banātī hai
ye duniyā duur se merī nazar meñ jagmagātī hai
sukūt-e-vasl kā lamha bhī kyā bedār-ḳhvābī hai
mohabbat jāgtī hai aur javānī soī jaatī hai
vo jab sanjīda hote haiñ adā añgḌā.ī letī hai
vo jab ḳhāmosh hote haiñ javānī gungunātī hai
zamāna hai ki dil-gīrī meñ afsurda sā rahtā hai
tabī.at hai ki ġhamgīnī meñ jaulānī pe aatī hai
havā-e-dāman-e-nikhat-fazā kā vāsta tum ko
zarā Thahro charāġh-e-zīst kī lau thartharātī hai
musalsal gulshan-e-hastī meñ kāñTe us ne bo.e haiñ
ye duniyā phir inhīñ kāñToñ se kyuuñ dāman bachātī hai
na ġham fursat hī detā hai na aañsū band hote haiñ
barastā jā rahā hai meñh badlī bantī jaatī hai
yahī hastī 'nushūr' ik roz hai anjām-e-hastī bhī
yahī duniyā kisī manzil pe uqbā ho ke aatī hai
Top Urdushayar.com