raat ko ḳhvāb ho ga.ī din ko ḳhayāl ho ga.ī
apne liye to zindagī ek savāl ho ga.ī
Daal ke ḳhaak chaak par chal diyā aaise kūza-gar
jaise numūd-e-ḳhushk-o-tar rū-ba-zavāl ho ga.ī
phuul ne phuul ko chhuā jashn-e-visāl to huā
ya.anī koī nibāh kī rasm bahāl ho ga.ī
tujh ko kahāñ se khojtā jism zamīñ pe bojh thā
āḳhir isī takān se ruuh niDhāl ho ga.ī
kaun thā aisā ham-safar kaun bichhaḌ gayā 'zafar'
mauj-e-nashāt-e-rahguzar vaqf-e-malāl ho ga.ī