husn jitnā hī saada hotā hai
gesū-e-nā-kushāda hotā hai
jab kabhī shaġhl-e-bāda hotā hai
ek aalam ziyāda hotā hai
jab vo aate haiñ zindagī ke qarīb
dil bhī dūr-ūftāda hotā hai
kyā ḳhabar ye fashurda-e-angūr
kitnā ḳhuuñ ho ke baada hotā hai
un kā jalva na duur hai na qarīb
nuur hai kam ziyāda hotā hai
husn hotā hai sāda-o-rañgīñ
ishq rañgīn-o-sāda hotā hai
gungunātā huuñ fursatoñ meñ 'nushūr'
sher tanhā.ī-zāda hotā hai