Mohan Seerat Ajmeri

alfaz hain ye sare usi ki zaban ke

Mohan Seerat Ajmeri

alfāz haiñ ye saare usī kī zabān ke
pahchāntā huuñ tiir maiñ us kī kamān ke
har buuñd pe gumān thā motī kī aab kā
āñkhoñ meñ ashk aa.e baḌī ān-bān ke
har har adā-o-nāz kī qīmat the jān-o-dil
saude bahut hī mahñge the us kī dukān ke
us ke ajab savāl the mere ajab javāb
parche sabhī ḳharāb hue imtihān ke
ġham se ziyāda aur na behtar lagā koī
unvān saiñkaḌoñ the mirī dāstān ke
kis sādgī se us ne ye 'sīrat' kahā mujhe
taare bhī toḌ sakte ho kyā āsmān ke
Top Urdushayar.com