dil to pakkā thā magar dil kī dalīleñ kachchī
le girīñ puḳhta imārat ko fasīleñ kachchī
aa ga.e rañg ke dhoke meñ zamāne vaale
surḳh phūloñ pe jhapaTtī rahīñ chīleñ kachchī
aa ga.ī baat sar-e-bazm zabāñ par dil kī
tū ne hoñToñ pe jaḌīñ zabt kī kīleñ kachchī
kachche añgūr kī ik bel badan hai us kā
aur āñkheñ haiñ mai-e-nāb kī jhīleñ kachchī
le uḌe abr ke TukḌoñ ko havā ke jhoñke
suukh kar baiTh ga.iiñ ḳhaak meñ jhīleñ kachchī
phir palaT ā.eñge 'sīrat' ye junūñ ke mausam
dhajjiyāñ jeb o garebān kī sī leñ kachchī