dil-e-vahshī tujhe ik baar phir zanjīr karnā hai
ki ab is se mulāqātoñ meñ kuchh tāḳhīr karnā hai
mire pichhle bahāne us pe raushan hote jaate haiñ
so ab mujh ko nayā hiila na.ī tadbīr karnā hai
kamāñ-dāroñ ko is se kyā ġharaz pahuñche ki rah jaa.e
unheñ to bas ishāre par ravāna tiir karnā hai
abhī imkān ke safhe bahut ḳhālī haiñ duniyā meñ
mujhe bhī ek nauha jā-ba-jā tahrīr karnā hai