Asad Badayuni

mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
mausam-e-hijr to daa.im hai na ruḳhsat hogā
ek hī lamhe ko ho vasl ġhanīmat hogā
merā dil āḳhirī taare kī tarah hai goyā
Dūbnā us kā na.e din kī bashārat hogā
ab ke hañgāma na.ī tarah huā hai āġhāz
shahr bhī ab ke na.e taur se ġhārat hogā
shāḳh se TuuT ke patte ne ye dil meñ sochā
kaun is tarah bhalā mā.il-e-hijrat hogā
dil se duniyā kā jo rishta hai ajab rishta hai
ham jo TuuTe haiñ to kab shahr salāmat hogā
bādbānoñ se havā lag ke gale rotī hai
ye safīna bhī kisī mauj kī qismat hogā
Top Urdushayar.com