suḳhan-varī kā bahāna banātā rahtā huuñ
tirā fasāna tujhī ko sunātā rahtā huuñ
maiñ apne aap se sharminda huuñ na duniyā se
jo dil meñ aatā hai hoñToñ pe laatā rahtā huuñ
purāne ghar kī shikasta chhatoñ se uktā kar
na.e makān kā naqsha banātā rahtā huuñ
mire vajūd meñ ābād haiñ ka.ī jañgal
jahāñ maiñ hū kī sadā.eñ lagātā rahtā huuñ
mire ḳhudā yahī masrūfiyat bahut hai mujhe
tire charāġh jalātā bujhātā rahtā huuñ