Asad Badayuni

wo log bhi kaise log hain jo koi baat fuzul nahin karte

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
vo log bhī kaise log haiñ jo koī baat fuzūl nahīñ karte
ye saare qisse jhūTe haiñ ham in ko qubūl nahīñ karte
tumheñ ilm nahīñ hai yaqīn karo maiñ qarīb se jāntā huuñ un ko
kuchh saudāgar aise bhī haiñ jo qarz vasūl nahīñ karte
maiñ patthar le kar baiThā huuñ aur is bastī ke daanā ab
kyuuñ kār-e-shīsha-garī kar ke mujh ko mashġhūl nahīñ karte
kisī ran meñ saath husain kā deñ kis nahr se paanī le aa.eñ
is shahr ke saare nauhagar koī aisī bhuul nahīñ karte
mire naam ke harf chamakte haiñ lekin ye chamak hai sho.aloñ kī
maiñ ek aisī sachchā.ī huuñ jise log qubūl nahīñ karte
mujhe bhuul ke nādim mat honā ai aglī nasloñ ke bachcho
haañ apne buzurgoñ kā mātam kabhī taaza phuul nahīñ karte
Top Urdushayar.com