jale charāġh bhalā kaise tā-sahar koī
havā ke paas nahīñ dūsrā hunar koī
ubhartī Dūbtī guzre hue visāl kī naav
badan ke bahr meñ paḌtā huā bhañvar koī
ye dil-jazīra kisī dhuñd ke ġhilāf meñ hai
so ab jahāz nahīñ aa.egā idhar koī
udaas chāñd ne dariyā ke dar pe dastak dī
ḳhush-āmdīd ko baḌhne lagā bhañvar koī
kisī savāl kā chehra kisī ḳhayāl kā phuul
navāh-e-jāñ meñ kahāñ harf-e-mo'tabar koī