Asad Badayuni

yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
yahī nahīñ ki mirā ghar badaltā jaatā hai
mizāj-e-sheher bhī badaltā jaatā hai
ruteñ qadīm tavātur se aatī jaatī haiñ
daraḳht pattoñ ke zevar badaltā jaatā hai
ufuq pe kyuuñ nahīñ ruktī koī kiran pal bhar
ye kaun tezī se manzar badaltā jaatā hai
ġhubār-e-vaqt meñ sab rañg ghulte jaate haiñ
zamāna kitne hī tevar badaltā jaatā hai
chhiḌī huī hai azal se dil o nigāh meñ jañg
mahāz ek hai lashkar badaltā jaatā hai
ye kis kā haath hai jo be-charāġh rātoñ meñ
fasīl-e-shahr ke patthar badaltā jaatā hai
parind peḌ se parvāz karte jaate haiñ
ki bastiyoñ kā muqaddar badaltā jaatā hai
Top Urdushayar.com