bichhaḌ ke tujh se kisī dūsre pe marnā hai
ye tajraba bhī isī zindagī meñ karnā hai
havā daraḳhtoñ se kahtī hai dukh ke lahje meñ
abhī mujhe ka.ī sahrāoñ se guzarnā hai
maiñ manzaroñ ke ghane-pan se ḳhauf khātā huuñ
fanā ko dast-e-mohabbat yahāñ bhī dharnā hai
talāsh-e-rizq meñ dariyā ke panchhiyoñ kī tarah
tamām umr mujhe Dūbnā ubharnā hai
udāsiyoñ ke ḳhad-o-ḳhāl se jo vāqif ho
ik aise shaḳhs ko aksar talāsh karnā hai