siyāh raat se ham raushnī banāte haiñ
purānī baat ko aksar na.ī banāte haiñ
kal ek bachche ne ham se kahā banāo ghar
so ham ne kah diyā Thahro abhī banāte haiñ
ham ek aur hī manzar kī taak meñ haiñ miyāñ
ye dhūp-chhāñv ke naqshe sabhī banāte haiñ
musavvirān-e-fanā apne canvas pe kabhī
na koī shahr na koī galī banāte haiñ
ham us dayār meñ zinda haiñ jis ke saare log
kabhī fatīla kabhī lablabī banāte haiñ