dāstāñ vasl kī ik baat se aage na baḌhī
aap kī shikva-shikāyat se aage na baḌhī
laakh rotī rahī jaltī rahī afsos magar
zindagī sham.a kī ik raat se aage na baḌhī
tū jafā-kesh rahā aur meñ vafā-kosh rahā
baat terī bhī mirī baat se aage na baḌhī
yuuñ to āġhāz-e-mohabbat meñ baḌe da.ave the
dostī pahlī mulāqāt se aage na baḌhī
mil ga.e jab vahī shikve vahī qisse 'as.ad'
ye ḳhurāfāt ḳhurāfāt se aage na baḌhī