Thukrā.e hue dil kī yaad aa.ī to kyā aa.ī
pheñkā huā shīsha thā TuuTā to sadā aa.ī
din zauq-e-navāzish se begāna sahī lekin
jalva hai na sho.ala hai raat aa.ī to kyā aa.ī
ishrat-gah-e-bātil kī raunaq meñ kamī kyā hai
gar bād-e-sabā jā kar ik sham.a bujhā aa.ī
baḌhtī huī betābī kuchh ruuTh ga.ī shāyad
jhaTke hue dāman se hāthoñ ko hayā aa.ī
uThtā hai qadam lekin raftār ġhunūda hai
niiñd aa ga.ī rastoñ ko manzil kī havā aa.ī
hai kuchh to 'nushūr' ehsāñ is umr-e-ravāñ kā bhī
ik roz kināre par kashtī to lagā aa.ī