jo aks-e-yār tah-e-āb dekh sakte haiñ
ajiib log haiñ kyā ḳhvāb dekh sakte haiñ
samundaroñ ke safar sab kī qismatoñ meñ kahāñ
so ham kināre se girdāb dekh sakte haiñ
guzarne vaale jahāzoñ se rasm o raah nahīñ
bas un ke aks sar-e-āb dekh sakte haiñ
havā ke apne ilāqe havas ke apne maqām
ye kab kisī ko zafar-yāb dekh sakte haiñ
ḳhafā haiñ āshiq o māshūq se magar kuchh log
ġhazal meñ ishq ke ādāb dekh sakte haiñ