safar bhī koī na ho rahguzar bhī koī na ho
hamāre ba.ad ḳharāb is qadar bhī koī na ho
sab us hujūm meñ gum honā chāhte haiñ jahāñ
patā-Thikāna bhī ḳhair-o-ḳhabar bhī koī na ho
ḳhudā vo din na dikhā.e ki in dayāroñ meñ
sab āñkheñ rakhte huuñ aur dīda-var bhī koī na ho
zamāna kaash na aa.e ki phuul phal ke baġhair
faqat gharoñ kā ho jañgal shajar bhī koī na ho
zamīñ na bain kare mehrbān maañ kī tarah
karo kuchh aisā kisī kā zarar bhī koī na ho
phir us jahān meñ kaise raheñ kahāñ jaa.eñ
vatan bhī koī na ho aur ghar bhī koī na ho
hameñ zamīñ pe utārā gayā zavāl ke vaqt
yahī bajā hai to phir nauhagar bhī koī na ho