sūraj kī tarah qariya-e-mahtāb meñ aayā
raat ek ajab shaḳhs mire ḳhvāb meñ aayā
kyā lahr thī jo mujh ko lagā aa.ī kināre
kis mauj se phir halqa-e-girdāb meñ aayā
ye shahar to sahrāoñ kī sarhad pe basā thā
kaise ye ḳharāba kaf-e-sailāb meñ aayā
ik yaad se raushan hue dīvār-o-dar-o-bām
ḳham ek na.ī tarah kā mehrāb meñ aayā
pahle to dhanak-rañg meñ Duubā ufuq-e-jāñ
phir manzar-e-hijrāñ bhī tab-o-tāb meñ aayā
ik shaḳhs ki yaktā thā darīda-dahnī meñ
zikr us kā magar pyaar se ahbāb meñ aayā