malāl umr-e-gurezāñ kā karte rahte haiñ
ye log zinda nahīñ roz marte rahte haiñ
havas kā zor kisī taur kam nahīñ hotā
qanā.atoñ ke gharauñde bikharte rahte haiñ
diye bujhānā girānā guloñ ko shāḳhoñ se
havā ke haath sadā kaam karte rahte haiñ
ye dil ga.e hue logoñ kī yaad se raushan
is aa.ine meñ bahut aks ubharte rahte haiñ
kisī tasalsul-e-zanjīr ke sivā kyā haiñ
jo log roz nazar se guzarte rahte haiñ
galī meñ ghuum rahe haiñ firāq ke aaseb
makān band kiye ham bhī Darte rahte haiñ
kisī bhī ḳhvāb kī takmīl ġhair-mumkin hai
jo kaam ho nahīñ saktā vo karte rahte haiñ