duniyā sañvar ga.ī hai nizām-e-digar ke ba.ad
manzil pe aa ga.ī hai mashiyyat safar ke ba.ad
jaise dil-o-nazar ke hijābāt uTh ga.e
aalam ḳhabar kā hai nigah-e-be-ḳhabar ke ba.ad
laale meñ rañg hai ye kahāñ ye lahū tarañg
duniyā hasīn hai mire zauq-e-nazar ke ba.ad
biitī huī hayāt mohabbat kā tazkira
shām-o-sahar kī yaad hai shām-o-sahar ke ba.ad
maiñ aa gayā sukūt-o-tabassum ke darmiyāñ
vo muskurā diye suḳhan-e-muḳhtasar ke ba.ad
har rāste ko luuT liyā e'timād ne
rahzan bhī ek shai hai magar rāhbar ke ba.ad
tārīkī-e-hayāt meñ raḳhshāñ hai husn-e-dost
jalve kahāñ raheñge hujūm-e-nazar ke ba.ad
hāsil hai kā.enāt kā dard-e-dil-e-hayāt
duniyā meñ kyā rahā mirī āh-e-sahar ke ba.ad
manzil pe chhiḌ ga.ī hai kudūrat kī dāstāñ
har kārvāñ ne gard uḌaa.ī safar ke ba.ad
naqsh-e-qadam kī aañkh khulī terī raah meñ
raste bhī so ga.e haiñ tirī rahguzar ke ba.ad
ahl-e-hunar ko dekh rahā huuñ ġhamīñ 'nushūr'
duniyā hunar hai raas bhī aa.e hunar ke ba.ad