hijr ke mausam meñ yādeñ vasl kī rātoñ meñ haiñ
kuchh gile-shikve yaqīnan sab munājātoñ meñ haiñ
dhuup ke mausam meñ the pāyāb dariyā sab magar
kaise kaise ḳhushk manzar ab ke barsātoñ meñ haiñ
haiñ mo.attar ab bhī shāmeñ terī ḳhushbū ke tufail
zau-fishāñ jugnū tire ab bhī mirī rātoñ meñ haiñ
tishnagī sadiyoñ kī qurbat se na bujh paa.ī mirī
log kitne mutma.in thoḌī mulāqātoñ meñ haiñ
dūsroñ ne apnī taqdīroñ ke bal suljhā liye
zulf-e-pechāñ ham abhī uljhe tirī bātoñ meñ haiñ
bas ga.e shahr-e-haqīqat meñ vo jin ke dil nahīñ
ahl-e-dil to ab bhī ḳhvāboñ ke muzāfātoñ meñ haiñ
aaj TūTegā yaqīnan phir tilism-e-ā.ina
saare chehre mushta.il haiñ sañg sab hāthoñ meñ haiñ