abhī havas ke hazāroñ bahāne zinda haiñ
na.ī rutoñ meñ shajar sab purāne zinda haiñ
fazā-e-mehr-o-mohabbat kī dāġh-dārī ko
dhuāñ ugalte hue kār-ḳhāne zinda haiñ
mujāvirān-e-tamannā to mar ga.e kab ke
darūn-e-jism ka.ī āstāne zinda haiñ
javāz koī nahīñ hijratoñ se bachne kā
ham is dayār meñ kis ke bahāne zinda haiñ
ajab tilism hai jañgal ke un daraḳhtoñ kā
parinde mar bhī chuke āshiyāne zinda haiñ
khudā.iyoñ meñ milegā gadā-e-ishq kā taaj
sar-zamīñ to havas ke zamāne zinda haiñ