merī nafrat bhī hai sheroñ meñ mire pyaar ke saath
maiñ ne likkhī hai ġhazal jur.at-e-iz.hār ke saath
eqtidār ek taraf ek taraf darveshī
donoñ chīzeñ nahīñ rah saktī haiñ fankār ke saath
ik ḳhalā dil meñ bahut din se makīñ hai ab to
yaad guzrā huā mausam bhī nahīñ yaar ke saath
bādbānoñ se ulajhtī hai havā roz magar
kashtiyāñ soī haiñ kis shaan se patvār ke saath
shahr meñ jahl kī arzānī hai lekin ab tak
maiñ hī samjhauta nahīñ kartā huuñ me.aar ke saath
mere ash.ār haiñ nāqid ke liye kuchh bhī nahīñ
dard ko maiñ nahīñ likhtā kabhī dushvār ke saath