diloñ par ḳhauf bhī taarī bahut hai
magar jañgoñ kī tayyārī bahut hai
ḳhirad kī bastiyoñ ke phūñkne ko
junūñ kī ek chiñgārī bahut hai
sabhī zad meñ haiñ dasht-o-koh-o-insāñ
ye zarb-e-vaqt hai kaarī bahut hai
purānā ḳhushk pattā kah rahā thā
havā meñ tez-raftārī bahut hai
ham apne dil kī duniyā dekhte haiñ
hameñ ye shaġhl-e-bekārī bahut hai
chale ho us se milne par ye sun lo
use shauq-e-dil-āzārī bahut hai
nahīñ hai saath rahnā garche āsāñ
bichhaḌne meñ bhī dushvārī bahut hai