kabhī sunte haiñ aql-o-hosh kī aur kam bhī piite haiñ
kabhī saaqī kī nazreñ dekh kar paiham bhī piite haiñ
kahāñ tum dostoñ ke sāmne bhī pī nahīñ sakte
kahāñ ham rū-ba-rū-e-nāseh-e-barham bhī piite haiñ
ḳhizāñ kī fasl ho roze ke ayyām-e-mubārak hoñ
tabī.at lahr par aa.ī to be-mausam bhī piite haiñ
tavāf-e-ka.aba be-kaifiyyat-e-mai ho nahīñ saktā
milā lete haiñ thoḌī sī agar zamzam bhī piite haiñ
kahāñ kī tauba kaisā ittiqā ahd-e-javānī meñ
agar samho to aao tum bhī chakhkho ham bhī piite haiñ
'nushūr' ālūda-e-isyāñ sahī par kaun baaqī hai
ye bāteñ raaz kī haiñ qibla-e-ālam bhī piite haiñ