havā ke paas bas ik tāziyāna hotā hai
isī se shahr o shajar ko Darānā hotā hai
vo saarī bāteñ maiñ ahbāb hī se kahtā huuñ
mujhe harīf ko jo kuchh sunānā hotā hai
munāfiqoñ meñ shab-o-roz bhī guzārtā huuñ
aur un kī zad se bhī ḳhud ko bachānā hotā hai
kitāb-e-umr bharī jā rahī hai lekin kyuuñ
na koī lafz na chehra purānā hotā hai
vahāñ bhī mujh ko ḳhudā sar-buland rakhtā hai
jahāñ saroñ ko jhukā.e zamāna hotā hai