ye zinda rahne kā mausam guzar na jaa.e kahīñ
ab aa bhī jaao dil-e-zār mar na jaa.e kahīñ
mirā sitārā to ab tak nazar nahīñ aayā
maiñ Dar rahā huuñ ki ye shab guzar na jaa.e kahīñ
nadī kināre khaḌā peḌ soch meñ gum hai
koī bhañvar use barbād kar na jaa.e kahīñ
parinde apne Thikānoñ ko ḳhair se pahuñche
duā yahī hai ki koī Thahar na jaa.e kahīñ
gilā bhī ḳhud se hai aur silsila bhī ḳhud se hai
hamārī baat idhar se udhar na jaa.e kahīñ