khule haiñ dasht meñ nafrat ke phuul āhista āhista
saroñ tak aatī hai qadmoñ kī dhuul āhista āhista
abhī kuchh din lageñge mausamoñ kā bhed paane meñ
badal jā.eñge yāroñ ke usuul āhista āhista
ziyāñ kā koī rishta umr-bhar qaa.em nahīñ rahtā
so miT jaatā hai har shauq-e-fuzūl āhista āhista
mujhe jurm-e-hunar-mandī kā qaa.il hone do pahle
maiñ har ilzām kar lūñgā qubūl āhista āhista
ye dhartī ek din banjar zamīñ ban jā.egī jānāñ
gulāboñ kī jagah leñge babūl āhista āhista