us abr se bhī qabāhat ziyāda hotī hai
jise barasne kī aadat ziyāda hotī hai
vo ābshār haiñ us ke laboñ meñ poshīda
ki jin se pyaas kī shiddat ziyāda hotī hai
vo mere paas na aane ko detā hai tarjīh
jab us ko merī zarūrat ziyāda hotī hai
rahūñ jo ghar meñ to tanhā.ī kāTne aa.e
chalūñ jo raah to vahshat ziyāda hotī hai
maiñ ik shajar huuñ magar barg-o-bār se āzād
havā kī mujh pe ināyat ziyāda hotī hai
yahāñ hamāre bhī din the buzurg kahte haiñ
na.e lahū meñ baġhāvat ziyāda hotī hai