shāḳh se phuul se kyā us kā pata pūchhtī hai
yā phir is dasht meñ kuchh aur havā pūchhtī hai
maiñ to zaḳhmoñ ko ḳhudā se bhī chhupānā chāhūñ
kis liye haal mirā ḳhalq-e-ḳhudā pūchhtī hai
chashm-e-inkār meñ iqrār bhī ho saktā thā
chheḌne ko mujhe phir merī anā pūchhtī hai
tez āñdhī ko na fursat hai na ye shauq-e-fuzūl
haal ġhunchoñ kā mohabbat se sabā pūchhtī hai
kisī sahrā se guzartā hai koī nāqa-savār
aur mizāj us kā havā sab se judā pūchhtī hai