Asad Badayuni

KHak to hum bhi har ek dasht ki chhane hue hain

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
ḳhaak to ham bhī har ik dasht kī chhāne hue haiñ
kuchh nayā karne kī koshish meñ purāne hue haiñ
sabz mausam kā pata jin se milā kartā thā
tīra-baḳhtoñ ke vahī shahr Thikāne hue haiñ
ḳhāna-e-dil meñ abhī tak haiñ vahī log ābād
jin ko ojhal hue āñkhoñ se zamāne hue haiñ
tiir shāḳhoñ meñ haiñ paivast parindoñ meñ nahīñ
kis shikārī ke ḳhatā itne nishāne hue haiñ
āb-o-gil hī kā karishma lab-o-ruḳhsār bhī haiñ
aisī kyā baat hai kyuuñ aap divāne hue haiñ
roz mat māñgiye miTTī kī mohabbat kā subūt
ham to ye jism usī ḳhaak kā chhāne hue haiñ
sher bhī likhtā huuñ aur ghar bhī chalātā huuñ janāb
kab kisī bojh ke shākī mire shāne hue haiñ
Top Urdushayar.com