Nushur Wahidi

waqt ka qafila aata hai guzar jata hai

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
vaqt kā qāfila aatā hai guzar jaatā hai
aadmī apnī hī manzil meñ Thahar jaatā hai
ek bigḌī huī qismat pe na hañsnā ai dost
jaane kis vaqt ye insān sañvar jaatā hai
is taraf aish kī sham.eñ to udhar dil ke charāġh
dekhnā ye hai ki parvāna kidhar jaatā hai
jām-o-sahbā kī mujhe fikr nahīñ ai ġham-e-dil
merā paimāna to ashkoñ hī se bhar jaatā hai
ek rishta bhī mohabbat kā agar TuuT gayā
dekhte dekhte shīrāza bikhar jaatā hai
haal mere liye hai lamha-e-ā.inda 'nushūr'
vaqt shā.er ke liye pahle guzar jaatā hai
Top Urdushayar.com