kuchh log jī rahe haiñ ḳhudā ke baġhair bhī
sannāTe gūñjte haiñ sadā ke baġhair bhī
miTTī kī mumlikat meñ numū kī zakāt par
zinda haiñ peḌ āb-o-havā ke baġhair bhī
ye nafratoñ ke zard alaav na hoñge sard
phailegī aag tez havā ke baġhair bhī
rabt-o-ta.alluqāt kā mausam nahīñ koī
bārish huī hai kaalī ghaTā ke baġhair bhī
duniyā ke kār-zār meñ bachchoñ ko maaoñ ne
ruḳhsat kiyā hai harf-e-duā ke baġhair bhī
ḳhauf-e-ḳhudā meñ umr guzārī to kyā milā
kuchh din jiyeñge ḳhauf-e-ḳhudā ke baġhair bhī