havā havas ke ilāqe dikhā rahī hai mujhe
gul-e-gunah kī mahak phir bulā rahī hai mujhe
abhī na jā.ūñgā maiñ dūsre sitāre par
ki ye zamīn abhī raas aa rahī hai mujhe
charāġh bhī mirā chehra hai shab bhī merā jism
to phir ye ḳhalq-e-ḳhudā kyuuñ jalā rahī hai mujhe
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki ye havā-e-vajūd
jalā rahī hai mujhe yā bujhā rahī hai mujhe
giyāh-e-ishq bhī merī gul-e-havas bhī mire
to kyuuñ zamīn tamāsha banā rahī hai mujhe