dayār-e-ishq kī sham.eñ jalā to sakte haiñ
ḳhushī mile na mile muskurā to sakte haiñ
hamesha vasl mayassar ho ye zarūrī nahīñ
do ek din ko tire paas aa to sakte haiñ
jo rāz-e-ishq hai un ko chhupā.eñge lekin
jo dāġh-e-ishq haiñ sab ko dikhā to sakte haiñ
ham imtihān meñ nākām huuñ ye rañj nahīñ
isī meñ ḳhush haiñ ki vo aazmā to sakte haiñ
nasīm-e-sub.h ke jhoñke haiñ ḳhush-gavār magar
kabhī kabhī ye diloñ ko dikhā to sakte haiñ
yahī bahut hai ki is ḳhār-zār-e-duniyā meñ
tujhe ham apne gale se lagā to sakte haiñ