Asad Badayuni

nazar uTha ke jo dekha udhar koi bhi na tha

Asad Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1952-2003
nazar uThā ke jo dekhā udhar koī bhī na thā
sulagtī dhuup kī sarhad pe ghar koī bhī na thā
har ek jism thā ik poster shuāoñ kā
sulagte dasht meñ ThanDā shajar koī bhī na thā
chamakte din meñ to sab log saath the lekin
udaas shab meñ mirā ham-safar koī bhī na thā
har ek shahar meñ thā iztirāb kā aaseb
jahāñ sukūn ho aisā nagar koī bhī na thā
sabhī ko fann-e-jarāhat se vāqafiyyat thī
hamārī tarah vahāñ be-hunar koī bhī na thā
sab apne kamroñ meñ mastī kī niiñd so.e the
siyāh shab meñ sar rahguzar koī bhī na thā
jo talḳh shaam ke sāyoñ ko qatl kar detā
tamām-shahr meñ itnā niDar koī bhī na thā
mire zavāl kī sab ko thī aarzū 'as.ad'
mire kamāl se ḳhush-dil magar koī bhī na thā
Top Urdushayar.com