abhī zamīn ko saudā bahut saroñ kā hai
jamāv donoñ mahāzoñ pe lashkaroñ kā hai
kisī ḳhayāl kisī ḳhvāb ke sivā kyā haiñ
vo bastiyāñ ki jahāñ silsila gharoñ kā hai
ufuq pe jaane ye kyā shai tulū hotī hai
samāñ ajiib pur-asrār paikaroñ kā hai
ye shahr chhoḌ ke jaanā bhī mārka hogā
ajiib rabt imārat se pattharoñ kā hai
vo ek phuul jo bahtā hai satah-e-dariyā par
use ḳhabar hai ki kyā dukh shanāvaroñ kā hai
utar gayā hai vo dariyā jo thā chaḌhāo par
bas ab jamāv kināroñ pe pattharoñ kā hai