ḳhushī bhī ab sarāpā ġham lage hai
tavajjoh aap kī kuchh kam lage hai
koī hamdam nahīñ duniyā meñ lekin
jise dekho vahī hamdam lage hai
maiñ huuñ majbūr apne dil se mujh ko
parāyā ġham bhī apnā ġham lage hai
bahāreñ haiñ chaman meñ gul ba-dāmāñ
ḳhizāñ kā sā magar mausam lage hai
jidhar dekho udhar shabnam ke aañsū
chaman kyā hai saf-e-mātam lage hai
har ik majbūr se kah do ye 'as.ad'
har ik maġhrūr kā sar ḳham lage hai