kahte haiñ log shahr to ye bhī ḳhudā kā hai
manzar yahāñ tamām magar karbalā kā hai
aate haiñ barg-o-bār daraḳhtoñ ke jism par
tum bhī uThāo haath ki mausam duā kā hai
ġhairoñ ko kyā paḌī hai ki rusvā kareñ mujhe
in sāzishoñ meñ haath kisī āshnā kā hai
ab ham visāl-e-yār se be-zār haiñ bahut
dil kā jhukāv hijr kī jānib balā kā hai
ye kyā kahā ki ahl-e-junūñ ab nahīñ rahe
'as.ad' jo tere shahr meñ banda ḳhudā kā hai