sab ik charāġh ke parvāne honā chāhte haiñ
ajiib log haiñ dīvāne honā chāhte haiñ
na jaane kis liye ḳhushiyoñ se bhar chuke haiñ dil
makān ab ye azā-ḳhāne honā chāhte haiñ
vo bastiyāñ ki jahāñ phuul haiñ darīchoñ meñ
isī navāh meñ vīrāne honā chāhte haiñ
takallufāt kī nazmoñ kā silsila hai sivā
ta.alluqāt ab afsāne honā chāhte haiñ
junūñ kā zom bhī rakhte haiñ apne zehn meñ ham
paḌe jo vaqt to farzāne honā chāhte haiñ