rahī agarche nigāroñ kī mehrbānī bhī
bahut ḳharāb kaTī raat bhī javānī bhī
tujhe gañvā ke tire vāstoñ kā kyā karte
isī liye to na rakkhī koī nishānī bhī
dil-o-nigāh ke rastoñ meñ kaun haa.il hai
ki ham pe band hue raushnī bhī paanī bhī
agar laboñ se na nikle agar diloñ meñ rahe
bahut na.ī hai abhī baat ik purānī bhī
azāb-e-sohbat-e-nā-jins ke shikār haiñ ham
ḳhudā zamīñ pe hameñ de hamārā saanī bhī