vaqt kī bāzgasht se kab ye huā ki Dar ga.e
dard kī dhuup Dhal ga.ī hijr ke din guzar ga.e
tez qadam nikal ga.e dhuup kī sarhadoñ se duur
raah kī chhāñv dekh kar sust qadam Thahar ga.e
log bhī haiñ na.e na.e shahr bhī haiñ na.e na.e
bāteñ vo kho ga.iiñ kahāñ raste vo sab kidhar ga.e
bārish-e-rañg-o-nūr se jaan chaman meñ paḌ ga.ī
phuul tamām khil uThe peḌ sabhī nikhar ga.e
le ke chale the narmiyāñ ghar se guloñ kī sub.h ko
barg-e-ḳhizāñ the shaam jab lauT ke apne ghar ga.e
ham ko havā-e-vaqt ne dī hai shikast bārhā
siip kī tarah band the gul kī tarah bikhar ga.e
sher likhūñ to kis tarah nazm kahūñ to kyuuñ bhalā
merī zabān chhin ga.ī haath mire katar ga.e
toḌnā thiiñ rivāyateñ moḌnā thiiñ hikāyateñ
log vo ḳhud-pasand the hañste hue jo mar ga.e