jalva-sāmāñ ruḳh-e-jānāñ na huā thā so huā
zarra zarra mah-e-tābāñ na huā thā so huā
kuchh to pahle se hī afsurda the ahl-e-gulshan
kuchh ye ġham ḳhūn-e-bahārāñ na huā thā so huā
maiñ ne dekhā hai tirī kam-nigahī kā anjām
āshnā-e-ġham-e-daurāñ na huā thā so huā
ye ināyat ye tirā jūd-o-karam hai ki mujhe
shikva-e-tañgī-e-dāmāñ na huā thā so huā
allāh allāh mai-o-mīnā kā asar bhī kyā hai
kuchh ilāj-e-ġham-e-daurāñ na huā thā so huā
ye tire sher tirā husn-e-taġhazzul 'as.ad'
tire sheroñ se jo shādāñ na huā thā so huā